Bachon ka Pakistan Weekly Sunday Magazine of Daily Roznama Pakistan online epapers website – 15 Jan 2012

::: Main Kia Banon’ Ga by Hafeez Jalandhari :::

Mujhy Aik Nanha Sa Larka Na Samjho
Mujhy is qadar bhola bhala na samjho

Mujhy Khailnay he ka Shaida Na Samjho
samjhtay Ho Aisa to aisa Na Samjho

Main Taqat main rustam say behtar banon’ ga
Bahadur banon’ ga dilawra banon’ ga

main parh likh kay auron’ ka rahbar banon’ ga
aarsto banon’ ga sikandar banon’ ga

sabaq naikiyon’ kay mujhy yad hon’ gay
bohat say hunar mujh say eejaad hon’ gay

Bohat mujh say khush mairay ustaad hon’ gay
aziz aur maa baap sub shaad hon’ gay

sachai say Hergiz na sharmaon’ ga main
bhalai he rik say kiaye jaon’ ga main

mosibat main bilkul no ghabraon’ ga main
burai ki rahoon’ say katraon’ ga main

meri guftago ho gi sari ki sari
bohat achhi achhi bohat piyari piyari

main bolon’ ga mehfil main jab apni bari
to ho gi meri bat main pai’dari !!!!!!!!

no main dil dukhanay ki batain’ karon’ ga
no hergiz rolanay ki batain’ karon’ ga

main balkeh hansanay ki batain karon’ ga
dilon’ ko milanay ki batain’ karon’ ga


…………..

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...